Attention Plz!!

Saturday, February 28, 2009

A Beautiful Image of Mastujh Division

A Beautiful Image of Boni Chitral

A Beautiful Image of Charum!

A Beautiful Image of Morder Town!

Beautiful Image of Chitral valley!

Friday, February 27, 2009

Short Intro of Chitral Valley

Chitral is undoubtedly the most romantic, captivating and enchanting place in the majestic Hindukush range. It is a mountainous area in the extreme north of Pakistan. The landscape of Chitrāl is extremely mysterious, with its steep harsh mountains, lush green valleys, beautiful meadows and big glaciers, which have made it one of the most difficult and inaccessible area of the world.


Chitrāl is divided into small valleys by the mighty Hindukush range. The highest peak in this range is Terichmir, which lies at a height of 25,263 feet, just 36 miles away from Chitrāl town, is called the palace of fairies. No mountain in the region is less then 4000 feet and more then 40 peaks have an altitude of 20,000 ft.
It is surrounded by the Wakhan, Badkhshan, Asmar and Nooristan area of Afghanistan in the north, west and south-west. On its southern boundary lies Dir. In the east lies Gilgit agency and Swāt Kohistan.
The district Chitrāl lies at an elevation of 4,900 ft, from the sea level. The total area of Chitrāl is 14,850 sq km(Ibid) situated b/w 35° 15’ & 37° 8’ N and 71° 22’ and 74° 6’ E. The total population of Chitrāl is 318689 according to 1998 census report.
The weather in Chitrāl is extremely harsh and cold in winter while the summer is very pleasant. There are certain famous places and valleys in Chitrāl like Garam Chashma valley, Booni, Golen valley, Madaklasht valley, Arandu, Birir, Rumbur and Bumburate, which can be called certainly as paradise on earth. The latter three valleys are the Kālāsh Valleys these are the repository of one of the unique culture and mysterious history of the world. This culture is certainly the residuary of the pre-historic age. To the local people it is Chitrāl, while for the ancient people and other people it is Qashqar or Kashqar. The people of Chitrāl are called Khow with a great ethnic diversity.
In the pages of history Chitrāl was known as an independent princely state. After the independence, Chitrāl was the first state to declare the accession to Pakistan. In 1970, it was declared as district of Pakistan and attached to the Malakand Division.


It lies at the junction of old Chinese Empire, Indian Empire, the Ex-Russian Empire and Afghan kingdom. It came under the consideration of British Empire, when after feeling the sense of Russian danger; the British government of India sought new friends in mountainous range and tribal belt. Then major John Bidulph visited the country in 1876 and reported the government of India, about the utility of Chitrāl. So friendship between the British and Chitrāl started which resulted in the famous Chitrāl incident of 1895

KARACHI SAY CHITRAL TAK!



Aayiay karachi say apnay safar ka Aaghaz kartay hain.


Muhtaram Qaari-een karachi say Chitral jatay huye hamay by air ya by road "PESHAWER","PINDI" LAHORE ya "ISLAM ABAD" ka safar karna parta hay, go k urgency ki soorat may direct bhi jasktay hain mgar only by Air, but Normally karachi say peshawar he zada easy or short cut way hota hay.
Peshawer say aap by air tu Direct he PIA ki flight say jasktey hain, jo only roung about 45 minut ka comforable safar hota hay or by road bhi yaha say directly janay k liye mini buses ya coaches avilable hoti hain.albata Lawari tunnel jo k filhal Ending Prosess main hay ki Lambi masafat ki waja say safar kafi boring ,yani atleast 9th hours and atmost 11 hours ka hota hay.Ta ham Pehsawer say chitral tak k rastay main bhi aisay dilkash or khubsurat Maqamaat aate hain jin say lutf andooz hokar taveel safar ka ehsaas nehe hota phir bhi pehli baar janay waLay hazarat k liye ye safar kafi Taaveel or Purtakaluf he feel hota hay.

This is the main "Chitral"


Agr aap by air arahay hain tu Chitral main airport par arrive honey k baad ap ko kisi qisam ki pareshani ni hogi. aap visitor info Desk ja kar maloomat le sktay hain waisay tu generally lebours waghaira all time avialable hote hain aap ka saman aap k sath hotels waghaira le janay k liye, or zaroorat parnay par aap Guide man bhi call kr skte hain,is tarah aap airport say main Chitral city main daalkhil hojayegay.
or jo log by road aarahay hon wo b directly main Chitral bazaar main Assorted Buss adday hain waha pr arrive ho jayengay.

Ab Ap Dilkash Unchay paharon or hari bhari pur ronaq Natural beauty say Mala Mala Waadi"Chitral" main hain.



Wadiay Chitral 2 catageries par mushtamil hay


1st one is called Lower Chitral and the 2nd is Upper chitral.

First we talk about Lower chitral.

Lower Chitral Well developed area hay Upper Chitral ki Nisbat yaha ki Pupolation bhi zada hay or yaha par kayee baray baray kaaroobari marakiz bhi hain, is k ilaawa Govt k kayee idaaray like schools, colleges, University or bay shumaar dusre idaray sargarme amal hain, yaha per taqreeban her zarrooriaate zindgee mayassar hotay hain, Qudrati fresh hawa, tazaa meetha or thanda paani, bay shumaar qisum k laa tedaad phal maivay yaha k logon k asaasay yani Atiaye khudawendi hain.Algharaz yaha ki poori enviorment daikhnay k baad ap ko shayad na lagay k aap Chitral aye hain ya Kisi well developed city main mavjood hain, kion k yaha transport say le kar Assorted markets say lekar hatta k logon ki living style, residential Buildings/Hoses or sarkari wa neem sarkari idaron tak ap ko sheher jaisi enviroment nazar aaye gi



Yahan pe Kalash comunity k log bhi rhtay hain but majority Muslim comunity ki hay, kalash comunity jo k aik dawur main un ki whole Chitral main aksariat howa karti thee ab gradually kam hoti jarhe hay. Chitral k log Apni Tehzeeb, Mehmaan Nawazi or Saqafat k lehaaz say Poori Dunya may pehchanay jaatay hain,Mehman nawazi yaha k logon ki aik tradition/sifat hay, Chitral k log Na sirf apne Ham watan Bhaion k liye Mehman Nawazi or bhai charay ka Bay intiha jazba rakhte hain bal keh Foreigner Gusets ko bhi respect, Khuloos or insaani hamdardi ki nazar say daikhte hoye khoob Mehman nawazi karte haih. Chunkeh Ye Area Ma-ashi Pehlu say hamesha Dusray Azlaa ki nisbat imtiazana ghair munsifana Hakumati Mansoobon ka Shikaar rahahay is liye yaha per literature kam hone ki waja say log Maali lihaaz say kamzor hone ki waja say sada loh, or La elum bhi hain, is liye Apne besaat k mutabiq Ghar aye huye mehman or berooni sayyahon ki bari sakhawat k sath Mehman nawazi kartay hain.

Mavjooda Sadi main Chitral ki new generation ne maazi ki in taareek manazaar ka az ghor mutaalia kr k Compitative Dowr k mutabiq kafi had tak apne aap ko tayyar kr Apni locality ki behter taraqqi k liye nayee tehreek chalyee hay..or Aaj Masha Allah Chitral k konay konay say Bacha bacha Parhayee likhayee kar k apne mulk or qowm ki khidmat k liye koshan hay.

Centrel chitral k andar kuch maqaamat apni qudrati ronaq or dilkashi or kuch apni wasaail or kushaadgi ki waja say bahot mash- hoor hain jin may BOOMBORAIT, DAINEEN,ZANG BAZAAR,BALACH, SINGLASHT or BRAYEET shaamil hain,

yaad rahay "KALAASH" Comunity jis ka ham nay Shuru main zikir kia tha, ye comunity sirf "BOOMBOORAITH" May basti hay, is comunity k logon ki mazhabi rusumaat,tehwar or aqaaid k illaawa language b alag hay jo shayad Chitral main bhi majority ko ni aati.ta ham ye log noN muslim apni jaga magar kafi had tak civelize or educated bhi hote hain.

Chitral k andar clectricity ki bahali k baad ab lower Chitral main taqreeban completly or Upper Chitral k baishter illaqon main bijli, paani, telephone, mobile or Internet ki sahooliat mawjood hain.
Centrel Chitral say koi 130 km k faslay par Upper Chitral jate huye aik Khoobsurat village hay jo BOONI nam say mashoor hay, Chitral ki tradition or history k lehaaz say is village kO bari Ahmiat hasil hay or Ofcourse central Chitral ka ye aik bara village hay jaha Per aramu asaaieshor zarooriate zindg k har qisim ki facilities mavjood hain hain.yaha k logon ki language kuch differnt type ki hay jo CHitrali "khowaar" kehlati hay.taqriban majority of People yehe language normally bolte hain, siwaye "KALAASH" Comunity k,
is k ilawa bhi yaha kayi mukhtalif desi languages bhi mukhlif maqamaat pr boli jati hain, Farsi zuban bhi kaafi haad tak whole Chitral main boli or samjee jati hay .waisay tu Pashton qaum k log bhi kaarobari maqsad k liye kaafi tedaad main central/Lower Chitral main rihaaish pazeer hain is liye pashto bhi kafi had tak boli jati hay Taaham Urdu Ko qowmi zaban k tawur per foqiat hasil hay , Urdu zaban Pooray Chitral main acchi tarah boli or samjhi jati hay.

wadiay Booni jo k intihayee sar sabzu shadab phalon,lehlehate huye khaiton or baghaAt say saja howa gawon hay jaha par bahar k tourest especially aik do din zaroor stay kartay hai or yaha k mahol ko enjoy kartay hain.yaha say aik aadh gantay k faslay pr go k or bhi elaqay or gawon hay

Laikin aik aisi Velley hay jo apni qudrati husn or khubsurati ki waja say whole Chitral main pupolar hay jo k "JANNAT SONOGHUR" kehlata hay.yaha be shumaar aqsaam k Phaldaar darkhtain ,Khoobsurat baghat, Thandi or tazzi hawa or mitta taza thanda paani pani infact kisi bhi tourest ko apni taraf attract karne pr mjboor kartay hain.

yahan say aagay koi 5 say 6 gantay k faslay par Tehsil MASTUJ waqee hay ye alaqaa bhi apni wusat or natural beauty k aitbaar say kisi say kam nehe yaha pr sarkari schools or dusray kayi idaron k illawa vip tourest k liye aalaa standard k hotels banyay gye hai jaha pe ksi bhi waqt stay karnay k liye booking ki jaskti hay.isi area may governor of MASTUJ ka aalishan fort(Mehal) bhi hay jo apni kushadgee or tareekhi aitbaar say yaha k Raaja dawur k last governer ki yaad gaar imarat hay, is k baad yaha poorani saltanat ka khatma howa tha, mazeed aagay chaltay huye taqreeban ab sabhi jagay aisi nazar aayengi jaha aap ko enjoy kaney ki bari achi enviroment milegi.


Mastuj vally say koi 3 gantay k faslay pr bahot he bara gawon papulation k lehaz say bhi or raqbay k lehaz say bhi hay jis ka naam "Brep" hay , ye aisi jaga hay jaha aap ko dunya o jaha ki har Ashiaa aap ko ap ki choice k mutabiq mil sakti hain especially fruits k hawalay say aap ko hayrat hogi k shayad mukhtalif anwa o aqsaam k phalon ki viriety ap ne kbhi pehlay na daikhi ho. Algharaz yaha per Allah taala ki ata karda taqreeban sab he niamaitan mayassar milengay.

Mehman hazarat ya tourest k liye yaha khaanay peenay ya stay karanay k koi paisay nehe liay jatay, isi waja say tourist aksar na sirf yaha balkeh whole Chitralian ki mehman nawazi or sakhawat ki misaalen dia kartay hain, or har saal hazaron laakhon ki tedaad main is ilaaqay ka visit krnay pakistan atay hain. chunkeh yaha baher k mehmanon say bhi koi khanay peenay ka muawiza ni lia jata agr koi khushi khushi bhi payment krna chahtay hain tu infact yaha k log is bat ko bahot na pasand kartay hain kion k wo apni tradition k mutabiq mehmaan ki khater dari ko apna fareza samjhtay hain or sab kuch apni khushi or muhabbat k saath kartay hain.
Village Brep Bd qismati say 2006 main aik baray Toofaani saanhe ka shikaar hogya, toofaani silaab Aik Ghazab-e-Ilaahee ban k yaha ki 50 % Araazi ko tabaah kr dia. or Ameero gharib tabqay k aksar giranay bay garo bay sahara hogaye. Mutaasira khandaan abhi tak resattle ni hosakay hain or is saaniha nay is area ki ronaq bhi bahot kharab kar dali.ab chunk taamirati kam phir say shuru horahay hain magr wapisi us level pe Pohnchnay k liye bahot time darkaar hoga.yaha say aagay vadiay yaar khoon shuru hota hay aam tawur par laa elum log is word ka matlab nagative sense main laitay hain mgr ye aisa naam hay jis ki haqiqat ka i think 50% Chitralion ko bhi elum nhe hay is aik naam k andar bay shumaar villages atay hain jin ki detail aik aik kar k likhna posible nhe hay lahaza ye k yarkhoon vally ka last village jis ka nam BROGHEL hay Pakistan ki hadood ka aakheri Gaawon hay yaha say kaabul or Pakistan ki boundries divide hoti hain.



oR Akhir main Apne tamam Muhtram doston or qaarieen ko ye b batata jawonn k jabh kabhi Chitral janay ka itifaq howa..tu yaad rakhaiy ga..May ki End say lay kar Augest ki end tak ka period best rehay ga..ap ko garmi ya sardi ka bilkul bhi ehsas ni hoga.ap ka safar or bhi zada memorable or com4table rahay ga.kia pata shayad..ham bhi..hon.in dinon main wahan..if you got any problem..just dial from anywhere in Chitral..on my 24Hours tool free no.. 0333-3988683...or

send me your Text.on
szada4u@yahoo.com or just2shehzada@hotmail.com

for further assistance....

Apna...or apne pyaron ka khayal rakhay ga..

Allah hafizu Nigahban ham sab ka..